Android Phone Ki Speed Kaise Aur Kyu Kam Hota Hai [Smartphone Ki Speed Kaise Badaye 5 Tips]

Tips:-1
Sabse pahle apne phone me clean master apps ko install kariye. Aur phone me jitne bhi junk files hai unn sab ko kariye delete. Junk files ko delete karne se RAM hamesha rahta hai fresh jisske karan phone ko slow hone se bachata hai aur speed ko banaye rakhta hai.
Tips:-2
Aise bahut se log hai jo naya naya phone lete hai toh ussme apps aur games install karke rakhta hai. Aur aise kai apps hai jo bekaar me install karke rakhte hai. Iss liye inn sab par aaj se lagaye Stop ka button. Matlab phone par jayada apps rakhne se speed par asar padhta hai jisske karan speed kam hone lagta hai. Isiliye jitna ho sake apps kam rakhe. Aur bekaar ke apps
ko kariye unn install.
Ye trick sabse jyada unn ke liye hai jinka phone ki RAM kam hote hai. Kyuki jayada tar aise samashya kam RAM waale phone par dekha gaya hai.
Tips:-3
Phone memory ko hamesha rakhiye khaali. Ji haa sabhi kya karte hai ki phone ki memory ko kar deta hai full jiske karan kai aise aur samashya nikal aata hai. Aise samashya nikalne ke baad speed ke saath mil kar aur buri taraha se speed kamne lagta hai. Isiliye kabhi phone memory ko full mat kariye.
Tips:-4
Apps ko kariye update. Aapke phone par jitna Apps hai unn sab ko update karte rahiye. Jab bhi unn aaps ka new updates aayega toh aapko pata chal jaayega notification par. Ye tabi pata chalega jab phone ki data on hoga matlab Internet chalega phone par jab. Isiliye Apps ko update karte rakhiyega.
Tips:-5
Phone me achi quality ka memory card daale. Kya hota hai ki aise kai memory card hai jo achi taraha se kaam nahi karta hai. Aise memory card ki speed bhi kam rahta hai isiliye achi quality ka memory card lagaye jisse phone ki speed bar karar
rahega.

To i hope aapko ye article pasand aaya hoga pasand aaya to comment kijiye aur next article k liye taiyyar rahiye.

Comments

Popular posts from this blog

How to edit PDFs online for free

Bitcoin plunges again; hits two-month low